Lilypie

Friday, February 29, 2008

Irshaad!!!!!

Barf ho jayega jab sara lahoo mera

Tab kahin ja ke wo maujon ko ravani dega

Yahi soch ke nahi boya khwabon ka darakt

Ki kaun jangal mein lage ped ko pani dega....


Kya ye bhi koyi zindagi hai ki rahat kabhi na ho,

Aisi to bhala kisi se mohhabat kabhi na ho

Waada jarur karte hain par aate kabhi nahi

Aur chaahte hain ye bhi ki shikayat kabhi na ho....


Khamosh palkon se behkar jab aansoo aate hain...

Aap nahi jaante aap kitna yaad aate hain ..

Ham to khade hain aaj bhi usi mod par ...

Jahan aap ne kaha tha tum yahin thehro ham abhi aate hain...


Pareshan hain log kyun hamaare is afsaane se

Kahte hain har lafz mein ek dard rahta hai

Kahte hain ham wo lafz nahi lahoo hai mera

Kyunki jism mein lahoo nahi tera dard bahta hai


Dua maangi thi aashiyane ki

Chal padi aandhiyan zamane ki

Mere gham ko koyi na samajh paya

Mujhe aadat jo thi muskurane ki


Paane se khone ka maza kuch aur hai,

Band aankhon me rone ka maza kuch aur hai,

Aanso bane lafz , lafz bane ghazal

Aur us ghazal me tere hone ka maza kuch aur hai


Diya khamosh hai to kya hamara dil to jalta hai,

Chale aao jahan tak roshni maloom hoti hai....


Dil jeet le wo jigar ham bhi rakhte hain

Kaatil jo kar de wo nazar ham bhi rakhte hain

Ye to umr bhar muskurane ka wada hai sirf aap se

Warna in aankon me samundar ham bhi rakhte hain


Kisi ko mohabbat ki sachchaai maar daalegi

Kisi ko mohabbat ki rusvaai maar daalegi

Karke mohabbat yahan koyi na bachega

Aur jo bach gaya use tanhayi maar dalegi..


Rehne do mujhe tabahee se bhari duniya mein,

Masjid se zyada khuda ki yaad yahan aati hai!!!


Zaraa si paane ki chaahat me, bahut kuch chhoot jata hai,

Naa jane sabr ka dhaga kahaan par toot jata hai

Kise humraah kehte ho, yahan to apna saaya bhi,

Kahin par saath rehta hai, kahin par chhoot jata hai


Dekha jo woh jaam teri yaad aa gayi...

Yeh shaam tere naam, teri yaad aa gayi...

Har koi jaanta tha mujhe tere naam se...

Poochha kisi ne naam, teri yaad aa gayi


Khud apne dil ka dhadakna bura laga humko..

Thi raat zahen mein kuchh is ada ki khamoshi...

Mujhe ye darr hai ki toofan koyi na aa jaye...

Bahut dino se hai mujh mein bala ki khamoshi...


Kab tak chhupayenge ye aansoo ham apne aanchal se,

Log to fir bhi samajh lenge..is phaile hue kajal se


Humne tumhare naam ki titli daboch li.......

Sab rang kaaynaat ke mutthi mein aa gaye


Samay ne jab bhi andheron se dosti hai,

Apna ghar jalake humne roshni ki hai,

Mere ghar ke ye dhuen is baat ke gawah hain,

Kabhi to yahan roshni ne khudkhushi ki hai


Khuda kare ki humse koi khata ho jaaye.....

Suna hai unhe gusse me lipatne ki aadat hai....


Ham to mashruf the apni tanhaiyon mein,

Muddaton baad kissi ne pukara hai,

Ek pal to ham ruk kar sochne lage,

Kya yehi naam hamara hai !


Mana ki mohabbat ka chhupana hai mohabbat ,

Par chupke se kisi roz ye jatane ke liye aa...

Jaise aate hain tujhe na aane ke bahaane ..

Waise hi kisi roz na jane ke liye aa.......


Aaya hi tha khayal ki aankhen chhalak padi

Aansoo kisi ke yaad ke kitne kareeb the


Katl karke samajhte hain khud ko kaatil

Ye baat aur hai ki aata hai hunar hamein bhi katl ho jane ka


Ehsaas bahut hoga jab chhod ke jayenge,

Royenge bahut lekin aansoo nahi aayenge,

Jab saath na de koi to aawaj dena.........

Aasma pe honge to laut aayenge.


Bheeg jaati hain palkein tanhai mein…

Darte hain koyi pehchaan na le…

Pasand karte hain tez barsaat mein chalna …

Kahin rote hue koyi pehchaan na le…


Aapki ek muskurahat ne hamare hosh uda diye,

Aapki ek muskurahat ne hamare hosh uda diye,

Hum hosh mein aane wale the,

Ki aap phir muskura diye.


Unki dosti ke abhi nishaan baaki hain,

Naam lab par hai aur jaan baaki hai,

Kya hua dekh kar munh pher lete hain wo,

Tasalli hai ki shakl ki pehchaan baaki hai.


Mili hai bahut saza unhe dil lagane ki,

Nazar lag gayi hamare pyar ko zamane ki

Kabr se nikale hue dono hath kahte hain,

Arzoo rah gayi usko gale lagane ki…


Bahut dino se thi aasman ki yeh saazish,

Puri ho gayi aaj unki yeh khwahish,

Bheeg lo hame yaad karke yaaron,

Mubarak ho tumko yeh pehli barish.


Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai

Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai

Bada mushkil hota hai jawab dena

Jab koi aankhon aankhon mein sawal kar leta hai


Mujhe dard-e-ishq ka maza maaloom hai,

Dard-e-dil ki inteha malum hai,

Zindagi bhar muskurane ki dua na dena,

Mujhe pal bhar muskuraane ki saza maaloom hai.


Hum lafzon se kuch izhaar nahi karte,

Iska matlab yeh nahi ki hum pyaar nahi karte..

Chaahte hain hum unhe aaj bhi par....

Unki soch mein apna waqt barbaad nahi karte....!!

Tamasha na ban jaye mohabat meri,

Isliye apne dard ko bayaan nahi karte...

Jo kuch mila hai usi mein khush hain ham,

Uske liya khuda se takraar nahi karte

Par kuch toh baat hai fitrat mein zaalim...

Warna unhe chahane ki khata baar baar nahi karte...!!!!!


Kagaz pe humne zindagi likh di,

Ashkon se seench har khushi likh di,

Dard jab humne ubhara lafzon mein,

Logon ne kaha wah kya ghazal likh di.


Nasha zaroori hai zindagi ke liye,

Par sirf sharab hi nahi hai bekhudi ke liye,

Kisi ki mast nigahon mein doob jao,

Bada haseen samunder hai khudkushi ke liye.


Jiski jhalak mein karaar bahut hai,

Uska milna dushwaar bahut hai,

Jo mere haathon ki lakeeron mein nahi,

Us shaks se hamein pyaar bahut hai,

Jisko mere dil ka rasta bhi maloom nahi,

Fir bhi dhadkano ko unka intzaar bahut hai,

Ye ho nahi sakta wo hamein bhula den,

Kya kare humko unpar aitbaar bahut hai.


Poochhna us kagaz se,

Jis pe hum dil ke bayaan likhte hain,

Tanhaiyon me beeti baate tamaam likhte hain,

Wo kalam bhi deewani ho gayi,

Jis se hum aap ka naam likhte hain.


Khuli fizaon mein par kholne se darne lage ,

Ye kya hua ki zubaan kholne se darne lage

Kuchh aisa jhooth ka jaadu chala hai abki baras,

Ki ham apane ghar me hi such bolne se darne lage.


Main muddaton jiya hun kisi dost ka bagair

Ab tum bhi sath chhodne ko kah rahe ho,khair.


Humne maanga tha saath unka,

Woh judai ka gham de gaye,

Hum unki yaadon ke sahare ji lete,

Par woh bhul jaane ki kasam de gaye...


Bahut royen hai us aansoo ke khatir,

Jo nikalta hai khushi ki inteha par.


Jeene ki aadat chhoot gayi thi,

Muskuraana bhi bhool gaye the,

Magar aaj rok na paayenge khud ko jeene se,

Aapki khoyi hui tasveer jo mil gayi hai


Maine har gham ko khushi mein dhala hai

Mera har ek chalan nirala hai

Log darte hain jin haadson se

Mujhe unhi hadson ne pala hai


Bas yahi baat achchi hai mere harjai ki

Jab bhi lauta mere paas hi aaya.


Bechainiyan samet ke sare jahan ki,

Jab kuch na ban saka to mera dil bana diya.


Janaza rok kar mera, wo is andaaz se bole,

Gali humne kahi thi, aap to duniya chhod chale


Apni tanhayi ki palkon ko bhigo lun pehle

Phir ghazal likhun tujhpe baith ke, ro lun pehle!!

Dekhna hai wo khafa rehta hai mujhse kab tak

Maine socha hai ke is baar na bolun pehle

Dastakon ne mujhe wo daag diye hain “kaiser”

Wo bhi aa jaye to darwaza na kholun pehle.


Hame unki ibaadat se fursat nahi milti ,

Log na jane kisko khuda kehte hain ,

Dil mein rakha hai unko ,

Log na jane kyon juda kehte hain


Aye khuda tu ishq na karna warna pachtayega......

Hum to mar kar tere paas aate hain par tu kahan jaayega


Utare jo zindagi teri gehraiyon mein ham,

Mehfil meh rahkar bhi rahe tanhayion mein ham,

Deewanagi nahi to aur kya kahe,

Insaan dhoondhte rahe parchhayion mein ham


Jeene ki aarzoo mein unke paas aa gaye,

Itne diye hain jakhm ki jubaan pe aa gaye

Ik umr tamaam ho gayi unki talash mein,

Paake magar unhe to ham tanhayi pa gaye.

Seher-o-shaam tha kabhi zubaan pe unka naam,

Khud hi bana ke mahal wo pal mein hi dha gaye.

Umeed thi rahenge ham tamaam umr saath,

Ban ke maajhi kashti ke, kashti duba gaye.

Samajh ke pakki neev, banayi meenar-e-khwab,

Badgumani ye ki wo neev hi dhaa gaye.


Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai

Tere haathon ki lakiron mein mera naam to hai .......

Mujhko tu apna bana ya na bana teri khushi

Tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....

Mere hisse mein koi jaam na aaya na sahi

Teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....

Dekh kar log mujhe naam tera lete hain

Is pe main khush hoon mohabbat ka ye anjaam to hai .....

Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko

Shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai...


Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,

Mujh se sharmaate ho to saamne aate kyon ho,

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,

Pyaar karte ho to phir pyaar chupaate kyon ho,

Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,

Dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho,

Inse vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,

Mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,

Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho


Apno ki chaahaton ne bhi kya-kya diye fareb,

Rote rahe lipat ke har ek ajanabi se hum.


Naakaam ishq par tanakashi na kariye

Chhed achchhi nahi girti hui imaarat ke sath...


Dil gham se jal raha hai jale, par dhuan na ho

Mumkin hai iske baad koi imtehan na ho!

Duniya to kya khuda se bhi ghabra ke keh diya

Woh meharbaan nahin to koi meharbaan na ho!

Loota khushi ne aag lagaa di bahaar ne

Barbaad is tarah bhi kisi ka jahaan na ho!

Ab to wahin sukoon milega mujhe jahaan

Ye sangdil zameen na ho, ye aasmaan na ho!


Teri mohabbat ne tanhayi mein sambhala mujhe,

To kya hua agar tanhayi bhi mohabbat ka hi anjaam thi


Aaj phir mazzaar pe diya jala gaya

Mujhko jagaakar jaane kahan chala gaya

Chhodi thi maine duniya sukoon se rahega woh

Aansoo gira kabr pe mujhko rula gaya


Peene de saathi abhi raat baki hai,

Mere hisse ke abhi do jaam baki hain,

Jaana hai sab kuch bhula ke mujhe maikhane se,

Peene de abhi dil mein kisi ki yaad baaki hai.


Kabr ki mitti utha ke le gaya koi,

Isi bahane humein choo kar chala gaya koi,

Tanhayi aur andhere mein khush the hum,

Lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi.


1 comment:

Anonymous said...

Странно, искал совсем не это, гугл выдал Ваш сайт, и судя по всему не зря, есть что почитать! Goodwork!